Skip to content

Best Love Shayari

    Best Love Shayari

    वो दिल ही क्या जो किसी से वफ़ा ना करे,
    तुझे भूल कर हम जिएं कभी खुदा ना करे,
    रहेगी तेरी मोहब्बत मेरी जिंदगी बन कर,
    ये बात और है कि ज़िन्दगी वफ़ा ना करे।

    Wo Dil Hi Kya Jo Kisi Se Wafa Na Kare,
    Tujhe Bhool Kar Jiyein Kabhi Khuda Na Kare,
    Rahegi Teri Mohabbat Meri Zindagi Ban Kar,
    Ye Baat Aur Hai Ke Zindagi Wafa Na Kare.

    ज़ुल्फ़ अगर खुलके बिखर जाये तो अच्छा,
    इस रात की तकदीर संवर जाए तो अच्छा,
    जिस तरह से थोड़ी सी तेरे साथ कटी है,
    बाकी भी इसी तरह गुजर जाए तो अच्छा।

    Zulf Agar Khul Ke Bikhar Jaye To Achchha,
    Iss Raat Ki Tasvir Sanwar Jaye To Achchha,
    Jis Tarah Se Thhodi Si Tere Saath Kati Hai,
    Baaki Bhi Isee Tarah Gujar Jaye To Achchha.

    तेरे ख्याल से खुद को छुपा के देखा है,
    दिल-ओ-नजर को रुला-रुला के देखा है,
    तू नहीं तो कुछ भी नहीं है तेरी कसम,
    मैंने कुछ पल तुझे भुला के देखा है।

    Tere Khayal Se Khud Ko Chhupa Ke Dekha Hai,
    Dil-o-Najar Ko Rula-Rula Ke Dekha Hai,
    Tu Nahi To Kuchh Bhi Nahi Hai Teri Kasam,
    Maine Kuchh Pal Tujhe Bhula Ke Dekha Hai.

    हम आपकी हर चीज़ से प्यार कर लेंगे,
    आपकी हर बात पर ऐतबार कर लेंगे,
    बस एक बार कह दो कि तुम सिर्फ मेरे हो,
    हम ज़िन्दगी भर आपका इंतज़ार कर लेंगे।

    Hum Aapki Har Cheez Se Pyar Kar Lenge,
    Aapki Har Baat Par Aitbaar Kar Lenge,
    Bas Ek Bar Keh Do Ki Tum Sirf Mere Ho,
    Hum Zindagi Bhar AapKa Intezaar Kar Lenge.

    नहीं जो दिल में जगह तो नजर में रहने दो,
    मेरी हयात को तुम अपने असर में रहने दो,
    मैं अपनी सोच को तेरी गली में छोड़ आया हूँ,
    मेरे वजूद को ख़्वाबों के घर में रहने दो।

    Nahi Jo Dil Mein Jagah To Najar Mein Rehne Do,
    Meri Hayaat Ko Tum Apne Asar Mein Rehne Do,
    Main Apni Soch Ko Teri Gali Mein Chhod Aaya Hun,
    Mere Wajood Ko Khwabon Ke Ghar Mein Rehne Do.

    तुम्हारा ज़र्फ़ है तुम को मोहब्बत भूल जाती है,
    हमें तो जिस ने हँस कर भी पुकारा याद रहता है,
    मोहब्बत में जो डूबा हो उसे साहिल से क्या लेना,
    किसे इस बहर में जा कर किनारा याद रहता है।

    Tumhara Zarf Hai Tum Ko Mohabbat Bhool Jati Hai,
    Humein To Jisne Hans Kar Bhi Pukara Yaad Rehta Hai,
    Mohabbat Mein Jo Dooba Ho Use Sahil Se Kya Lena,
    Kise Iss Behar Mein Jakar Kinara Yaad Rehta Hai.

    बेवजह हम वजह ढूंढ़ते हैं तेरे पास आने को,
    ये दिल बेकरार है तुझे धड़कन में बसाने को,
    बुझती नहीं है प्यास मेरे इस प्यासे दिल की,
    न जाने कब मिलेगा सुकून तेरे इस दीवाने को।

    Bewajah Hum Wajah Dhhoodhte Hain Tere Paas Aane Ko,
    Yeh Dil Bekaraar Hai Tujhe Dhadkan Mein Basaane Ko,
    Bujhti Nahin Hai Pyaas Mere Iss Pyaase Dil Ki,
    Na Jaane Kab Milega Sukoon Tere Iss Diwane Ko.

    मैं अल्फाज़ हूँ तेरी हर बात समझता हूँ,
    मैं एहसास हूँ तेरे जज़्बात समझता हूँ,
    कब पूछा मैंने कि क्यूँ दूर हो मुझसे,
    मैं दिल रखता हूँ तेरे हालात समझता हूँ।

    Main Alfaz Hun Teri Har Baat Samjhta Hoon,
    Main Ehsaas Hun Tere Jazbat Samjhta Hoon,
    Kab Puchha Maine Ke Kyun Dur Ho Mujhse,
    Main Dil Rakhta Hoon Tere Halaat Samjhta Hoon

    इस लफ़्ज़े-मोहब्बत का इतना सा फसाना है,
    सिमटे तो दिले-आशिक़ फैले तो ज़माना है,
    ये इश्क़ नहीं आसाँ इतना तो समझ लीजे,
    एक आग का दरिया है और डूब के जाना है।

    Iss Lafze-Mohabbat Ka Itna Sa Fasaana Hai,
    Simte To Dile-Aashiq Faile To Zamana Hai,
    Yeh Ishq Nahi Aasaan Itna To Samajh Leeje,
    Ek Aag Ka Dariya Hai Aur Doob Ke Jaana Hai.

    होठों पर मोहब्बत के फ़साने नहीं आते,
    साहिल पर समंदर के खजाने नहीं आते,
    पलकें भी चमक उठती हैं सोते हुए हमारी,
    आँखों को अभी ख्वाब छुपाने नहीं आते।

    Honthhon Par Mohabbat Ke Fasaane Nahi Aate,
    Sahil Par Samandar Ke Khazane Nahi Aate,
    Palkein Chamak UthhTi Hain Sote Huye Humari,
    Aankhon Ko Bhi Khwaab Chhupane Nahi Aate.

    ना मैं ख्याल में तेरे ना मैं गुमान में हूँ,
    यकीन दिल को नहीं है कि इस जहान में हूँ,
    खुदाया रखियेगा दुनिया में सरफ़राज़ मुझे,
    मैं पहले इश्क़ के पहले इम्तिहान में हूँ।

    Na Main Khayal Mein Tere Na Main Gumaan Mein Hoon,
    Yakeen Dil Ko Nahi Hai Ke Iss Jahaan Mein Hoon,
    Khudaya Rakhiyega Duniya Mein Sarfaraz Mujhe,
    Mein Pehle Ishq Ke Pehle Imtehaan Mein Hoon.

    कुछ लिख नहीं पाते कुछ सुना नहीं पाते,
    हाल-ए-दिल जुबान पर ला नहीं पाते,
    वो उतर गए हैं दिल की गहराइयों में,
    वो समझ नहीं पाते और हम समझा नहीं पाते।

    Kuchh Likh Nahi Paate Kuchh Suna Nahi Paate,
    Haal-e-Dil Jubaan Par La Nahi Paate,
    Woh Utar Gaye Hain Dil Ki Gehraion Mein,
    Woh Samajh Nahi Paate Aur Hum Samjha Nahi Paate.

    आँखें तो प्यार में दिल की ज़ुबान होती है,
    सच्ची चाहत तो सदा बे-ज़ुबान होती है,
    प्यार में दर्द भी मिले तो क्या घबराना,
    सुना है दर्द से ही चाहत और जवान होती है।

    Aankhein To Pyar Mein Dil Ki Zuban Hoti Hai,
    Sachchi Chahat To Sada Be-Zuban Hoti Hai,
    Pyar Mein Dard Bhi Mile To Kya Ghabrana,
    Suna Hai Dard Se Chahat Aur Bhi Jawan Hoti Hai.

    जिस तरह रगों में खून रहता है,
    इस तरह तेरी चाहत का जुनून रहता है,
    ज़िंदगी की हर ख़ुशी मंसूब है तुमसे,
    बात हो तुमसे तो दिल को सुकून रहता है।

    Jis Tarah Ragon Mein Khoon Rehta Hai,
    Iss Tarah Teri Chahat Ka Junoon Rehta Hai,
    Zindagi Ki Har Khushi Mansoob Hai Tumse,
    Baat Ho Tumse To Dil Ko Sukoon Rehta Hai.

    Pages: 1 2
    close